[ Tumhara Kuch Bhi Mera Nahi ]


Tumhari Zulfain 
Tumhari Palkain 
Tumhari Aankhain 
Tumhara Chehra 
Tumhare Shaaney 
Suraahi Daar Gardan 


Kalaayio'n Me Khanakte Kangan 


Hinaayi Haatho'n Mai Unglio'n Ki Haseen Puurai'n 
K Jin Me Sandal Mehak Rahi Hy 


Ye Naram Saanso'n Ki Gungunahat 


Qadam Uthao Tou Dharkane'n Sath Chorti Hyn 


Badan Ka Har Zawiya Qayamat 


Nahi Tumhari Misaal Jana'n 


Kamal Ho Tum Kamal Jana'n 


Tumhara Sb Kuch Haseen Hai, Lajawab Hy Par 


Mera Nahi Hy.../



0 comments: